|
MIZRAAB LYRICS
"Mazi Haal Mustaqbil" (2004)
1. Aaq 2. Akhir Kioun 3. Izhaar 4. Jaey Mein 5. Justajoo 6. Kitni Sadian 7. Mayusee 8. Meri Tarha 9. Muntazir 10. Panchi 11. Worldtene
1. Aaq
(1st Verse)
Aalam hay baybasi ka hota yay
Ik zor ajnabi sa rehta yay.
(Pre-chorus)
Ye junoon jismon mein kis nay bhara
Thamta nehin khwahishon ka silsila.
(Chorus)
Bujhti nehin hay, barhti hi jayay, dil yay tarpay
Aisi yay aag hay jo jalay to na bujhay.
(2nd Verse)
Qaed bhi, aazad bhi hay yay
Ik lehar baychaein si hay yay.
2. Akhir Kioun
(1st verse)
Laita han janam ehsaas yay aur barhtay jatay hein faaslay
Hota hay ghalat har doosra apnay hein yay faislay.
(Pre-chorus)
Jo bhi kiya apnay liyay
Jo bhi kiya apnay liyay
Aakhir kyun?
(Chorus)
Behisi, yay jalan, sungdili
Aaikhir kyun?
Mot ko yaad kar hay such yehi.
(2nd Verse)
Aaj kho gai duniya kay kitnay rangon mein saadgi
Kum hoti ja rhi hay aadmi ki ehmiyat, ehmiyat kuch nehin.
3. Izhaar
(1st Verse)
Zindagi to hay yay aazmaishon ka maidaan
Aur hay yahan imtehan har jaga har gharee.
(2nd Verse)
Aarzoo jo rahay zinda jismon mein, aankhon mein bhi pehchan
To manzil bahein kholay ho khari.
(Pre-chorus)
In honton ko hmesha muskrahton ka intizar rehta hay
Aansoo har khushi ka jo bhi gira hay, yaadgar hota hay.
(Chorus)
Apnay in jazbon ka izhar aao hum karein
Apni in himaton per aitebar aao hum karein.
4. Jaey Mein
(1st Verse)
Aaj bhi zulm-o-sitam kay rung wesay hi
Mazi ki aahon say seekha kuch bhi nehin.
Aaj bhi insaniyat mismaar har jaga
Haathon mein doltay hathiyar har jaga.
(Pre-chorus)
Nazrein chura kay guzarne ka
Nehin mujh mein yay hosla.
(Chorus)
Mein janay kyun hoon bolta
Hay insaaf mein takheer to is say hay mera kia wasta.
Mein janay kyun hoon sochta
Jo zawal ki janib rawan ghaflat mein haymashra
Janay mein.
(2nd Verse)
Aaj bhi kuch naujawan aisay hi zaya gaye
Sitaron pay dalein kamand wo naujawan kahan gayay.
Aaj bhi laashain pareen ghar ghar aur har gali
Bhairriyon ka ambaar he ya he koi aadmi.
5. Justajoo
6. Kitni Sadian
(1st Verse)
Teri aankhein teray dil ki sari batein kahein
Aaj mehkein saray pal hi kai sapnay bunein.
Rastay khatan yay choti choti khushiyan yahan
Chunn lein aaj jo bhi milein.
(Pre-chorus)
Is zameen ki yehi dastaan hay
Jism aur jaan aik din to hona hay
Na rahay.
(Chorus)
Kitni sadiyan na janay khamoshi say yunhi guzarti gayeen
Waqt kay behtay darya mein jab tak saansein rahen tu hay meri.
(2nd Verse)
Aik hay rung jo yay sansaar sara roshan karay
Koi ho sung, koi ho pyar pyara jeevan lagay.
Raste khatan yay choti choti khushiyan yahan
Chunn lein aaj jo bhi milain.
7. Mayusee
(Chorus)
Mayusee gunnah hai
Saans hai tu zindagee
Rawan hai.
(1st Verse)
Dunya say judaa hai
Kyun tu khafa hai.
Jurat say ker samana
Samnay jahan hai
Himmat ker, hasad na ker woo.
Mehanat ker Khuda say daar
Samnay jahan hai.
(2nd Verse)
Talkheeyian mit-tee naheen
Kya darmian hai.
Maazi bhool jaa manzil yaad ker
Ghazi ban, fiker na ker woo.
Lahoo banja ragoun mai bhar
Samanay jahan hai.
8. Meri Tarha
(1st Verse)
Lagay weeranoun main houn
Lagay seharaon main houn kabhi.
Lagay ghairon main houn
Lagay apnon main houn kabhi.
(Pre-chorus)
Har koee hai baygana saa
Ya dil mera deewana saa.
(Chorus)
Chal raha hai safar log hain kaaee
Kya kaheen yahan meray jaysa koee.
Meri tarah
Meray leiyay.
(2nd Verse)
Lagay awazon main houn
Lagay bataon main houn kahein.
Lagay roshniyon main houn
Lagay andheron main houn kahein.
9. Muntazir
10. Panchi
(Chorus)
Shaam hoee ghar aa panchi
Shaam hoee ghar aa panchi.
Teree yaad hai aik pyaas hai
Tu nahi to sab khawab hai.
(1st Verse)
Teray ashiyanay mai koee nahi
Teray ashiyanay mai koee nahi.
Roshnee tu hai joostujoo nahi
Manzil nahi bus khak hai.
(2nd Verse)
Tera khayal hee maazi haal hai
Mera woojood hee sab din raat hai
Muntazir hoon umeed hai
Majboor hoon kyun duur hai.
11. Worldtene
|
|